Google AdSense Ad Units Ko Automatically Optimize Kaise Karen


Google Adsense Ad Units Ko Hum Manually Ad Sizes Optimization Karke Adsense Earning Increase Kar Sakte Hai. Lekin Ab Iski Zarurat Nahi Hai, Google Ne Adsense Me "Ad Sizes Optimization Setting" Ka Ek New Feature Add Kiya Hai, Jise Enable Karne Par Google Humare Ad Units Ko Automatically Optimize Karega, Ye Special Mobile Users Ke Liye Hai

Google Ab Mobile Par Aapke Ads Sizes Ko Automatically Optimize Kar Sakta Hai. Isme Aapki Site Ke Pages Par Ad Code Ko Modify Kia Bina Mobile Traffic Par Best Performance Ke Liye Ad Unit Size Choose Kiya Jata Hai.

Is Feature Ka Istemal Karne Ke Liye Aap Ko New Ad Unit Create Karne Ki Zarurat Nahi Hai, Aap Pahle Se Created Ad Units Par Ise Apply Kar Sakte Ho.

Google Adsense Earning Increase Kaise Kare - 3 Master Tips

Chaliye Ab Main Aapko Google Adsense Account Me Ad Sies Optimization Setting Enable Karne Ke Bare Me Btata Hu.

Google Adsense Automatically Optimize Settings Kaise Kare

Google Adsense Automatic Ad Optimize Feature Abhi, Mobile Users, Ke Liye Available Hai. Iska Istemal Karne Ke Liye Steps Follow Kare.


Step 1:

1. Sabse Pahle Google Adsense Account Open Kar Sign In Kare.

2. Ab Left Navigation Me Optimization Par Click Kar Optimization Settings Me Ad Sizes Par Click Kare.



Step 2:

Ab Yaha Aapko Total 3 Option Milenge. Inme Se Aapko Apne Hisab Se Option Select Karna Hai.

Optimize 100% Of Mobile Page Views (Recommended): Apne All Text & Display Page Views Ko Best Ad Unit Ke Liye Automatically Optimize Kare

•Optimize 50% Of Mobile Page Views: Apne Text & Display Page Views Ke 50% Views Ko Optimize Kare Taki Aap Impact Ko Compare Kar Sake.


Don't Optimize: Google Aapke Text & Display Page Views Ko Optimize Nahi Karega.


Is Tarah Se Aap Apni Website Or Blog Ke Liye Google Adsense Account Me Ad Automatically Optimization Setting Ko Enable / Turn On Kar Sakte Ho.


Apni Site Par Automatically Optimize Ads Ka Preview Kaise Deikhe?


Agar Aap Apni Site Par Automatically Optimize Ads Ka Preview Deikhna Chahate Ho To Wo Bhi Possible Hai. Iske Liye Aap Nimn Tips Follow Kare.


On Mobile Device:


1. Apni Website Par Jaye Aur Page URL Ke End Me #Google_Responsive_Slot_Preview Add Kare.


2. Ab Page Ko Refresh Kare.


3. Ab Aap Apne Page Par Sabhi Different Ads Ko Deikh Sakte Hai.


On Desktop Using Chrome Browser:


1. Apni Site Ko Ek New Tab Me Open Kare Aur Page URL Ke End Me #Google_Responsive_Slot_Preview Jode.


2. Ab Right Click Kar Inspect Select Kare Aur Toggle Device Toolbar Me Mobile Device Select Kare.


3. Page Refresh Kare.


4. Ab Aap Alag Aalg Mobile Size Me Different Ads Ko Deikh Sakte Ho.

Is Tarah Se Aap Check Kar Sakte Ho Ki Aapki Site Par Google Automatically Optimize Ads Kaise Display Ho Rahe Hai.

Is Feature Ka Istemal Kare Aur Deikhe Ki Aake Liye Ye Kitna Beneficially Hai, May Demand Ho To Enable Karke Rakhe Warna To Disable Kar De.

Google Adsense Se Zyada Paise Kamane Ke 5 Tarike 2019

Google Adsense Publisher Ki 5 Badi Problems (Concerns 2019

Agar Aapko Ye Article Achha Lage To Ise Social Media Par Adsense Publisher Ke Sath Share Zarur Kare.


Post a Comment

0 Comments