Google Adsense Ko Multiple Gmail Account Par Kaise Use Kare

Google Adsense Ko Multiple Gmail Account Par Kaise Use Kare

Google ek se jyada AdSense account create karna allow nahi karta but hum ek AdSense account ko multiple gmail ID par par use kar sakte hai. Iska fayda ye hai ke agar humare pas difference gmail account se YouTube channel or blog hai to hum un sab par apne primary AdSense account se advertising show kar sakte hai. I mean hum ek hi AdSense account se apni all sites or YouTube channels par ads laga sakte hai.

 

Google hume one AdSense account se multiple website, blogs and YouTube channel par advertisement lagana allow karta hai. Bahut se log alag alag gmail ID se alag alag AdSense account bana kar use karte hai but google policy ke anusar ye galat or wrong way hai. Jab wo hume ek hi AdSense account se apni sari sites par ad lagana offer karta hai to hume uske terms ka violation nahi karna chahiye.

In this post, main aapko aesa tarika bta raha hu jisse aap 1 AdSense account se apni sabhi blog and YouTube channel par ads show kar ke earning kar sakte ho. Iske liye bas aapko apna another gmail address ko google AdSense me add karna hoga.

Google Adsense Se $100 Per Day Kaise Kamaye

Google Adsense Se 1 Click Par $10 To $50 Kaise Kamaye

Aapko isse fayda ye hoga ke aapko bahut sare AdSense account ke liye alag alag information yaad rakhne ke jarurat nahi padegi or aapko bahut sare username or password yaad nahi rakhne honge. Suppose agar aap 5 different gmail account se alag alag AdSense account bana lete ho or un sab me aapke earning $50 to $70 hai to aapke total earning $60 ke hisab se 5 account me $300 ho jati hai.

But aap apna payment nahi le sakte because google AdSense minimum $100 pay karta hai jo ke aapke kesi bhi account me nahi hai. Agar aap ek hi khata use karte to aap $300 se pahle bhi payment receive kar sakte the. Is setting ko User Management kahte hai, I hope you understand.

विषय-सूची

दिखाएँ

Google Adsense Me Multiple User Management Setting Kaise Kare?

Step banane se pahle main man leta hu ke aapke pas 2 gmail account hai or dono par YouTube channel ya blog active hai or aapke pas ek gmail ID se approved AdSense account hai. Ab aap use dusri gmail ID se connect kar apne dusre YouTube channel se bhi earning karna chahate hai.

Step 1:

Sabse pahle aap apne approved AdSense account par ja kar log in kare.

1. Adsense par log in hone ke bad right side top sidebar me setting icon par click kare.

2. Ab settings par click are.

3. Access and authorization par click kare.

4. User management par click kare.

5. Ab yaha par new gmail ID add kare, Jis par aapko AdSense use karna hai.

6. Ab invite par click kare.

 

Step 2:

Aapne jis gmail ID user ko invite keya hai us gmail account me ek message aayega. Usme ek invitation link hoga us par click karke aapko invitation accept karna hai. Gmail par aaya link kuch is tarah se hoga. Is link par click kare or invitation accept kare.

 

Step 3:

Invitation link par click karne ke bad invitation access AdSense ka page open hoga. Isme Sign in as example@gmail.com to access this AdSense account par click kare.

 

Step 4:

Ab ek "Thank you to joining AdSense" ka page open hoga. Yaha aapko niche google AdSense ke link par click karna hai.

 

Aap jaise hi google AdSense ke link par click karoge aap AdSense ke home page par pahuch jaoge. Dekhiye ye wohi google AdSense account hai jo aap apni dusri gmail ID par use kar rahe ho.

Is tarah se aap apne ek AdSense account me apni other gmail ID ko add karke apne sabhi YouTube channel or blog par ads laga sakte ho. Is process se aap apne friend ko bhi AdSense me partner bana kar earning kar sakte ho.

Google Adsense Se 10 Dollar Per Day Kaise Kamaye

Google Adsense Se Sabse Jyada Paise Kamane Wali Top 10 Websites

Yaad rahe user management setting me kabhi bhi kesi or ko Administrator na banaye. Kyuke uske bad usko aapke AdSense account ka full access mil jata hai or wo aapke hi tarah uska malik ban jata hai. Ho sakta hai is tarah se koi aapke sath dhoka kar ke aapko hi account se remove kar de. So carefully AdSense me multiple user add kare.

I hope aapko ye post pasand aayegi. Agar ha to ise social media par share jarur kare.


Post a Comment

0 Comments